Archive for the Hindi category

May 10th, 2008

A few shairs [urdu]

Posted in Figments, Hindi, Love, Poems, Sheikha, Thoughts by Sheikha

Kaash meri zindagi mein tum aaye na hote,

Aankhon mein itne khuwab sajaaye na hote,

Itna dard jo mujhe tum de kar chale gaye,

Koi aya na hota tou yeh zulm dhaya na hota,

Kaash meri tanhai mujhse roothe na hote.

 

–Sheikha.

 

Waqt dhoka de gaya mujhe lekin

Tumhari yaadein abhi baaki hai

Kitni jaldi doobta hai suraj aur raat

Doob jaati hai apne hi andhere mein.

–Sheikha.

 

 

Isi andhere ujaale mein baatein ki tumse,

Jab parchai lagta tha tumhara paas hona.

–Sheikha.

 

 

Ilzaam doun bhi agar tou kis ko doun,
Meri taraf nazar kabhi huwi nahi tumhari,
Jalte hai hum khoobsurti se itna kyun,
Mujh par nazrein tiki nahi tumhari kabhi.

 

–Sheikha.

Ijaazat ho agar thori der aur ruk jaayun
Saari umar nikl gayi ab saansein baaki hai

 

–Sheikha.

December 17th, 2007

mere bhitar ki

Posted in Hindi, Kunal Goel, Poems by Kunal Goel

mere bhitar ki trishna ko tum miljulkar door karo,
khwab jo maine dekhe they wo mujhse milkar poor karo

yeh baat nai wo baat sahi, kya lena par in baaton ka,
akash yadi hai gyat mujhe, akash se lekar door chalo

beete baaton ke saye jo unki yaad dilate hain,
unko jo kabhi na bhool sake to unko bhi barbad karo

teevrgativikritpratidinmeraman tumse milkar hota hai,
apne seene ki dhadkan ko mujhse milkar vyapt karo

kal raat jo tumne sochi thi wo baat jo mujhse kehne ki,
wo baat kabhi bhi keh na sake tum, us baat ko antarlaap karo

ek prani ke do pehlu hain jo jeevanbhar sang rehte hain,
ek tumko pyara lagta hai, tum duje ko swikar karo

main apne aap ke bheetar hoon tum apne andar rehti ho,
is band kamre ke jeevan ko mujhse milkar azad karo

-Kunal Goel

September 16th, 2007

Karwaan guzar gaya

Posted in Hindi, Poems by Kunal Goel

karwaan guzar gaya 1
More

August 4th, 2007

फनकार

Posted in Anirudh, Hindi, Poems by Anirudh

उधर वो कूड़े के ढेर में खाना

यूँ ढूँढ रही थी
इधर वो हैरानी कागज़ से कलम पर
यूँ घिसे जा रहा था
उसकी भूख से शायद इसकी कलम का पेट

यूँ भर रहा था
मेरी मुहँबोली बहन कहा करती है
फनकार आम आदमियों में शरीक नही होते
उनसे कहीँ बढकर होते हैं
शायद….

 

सच ही कहा करती है..

April 25th, 2007

सीखने की ज़िद मे

Posted in Anirudh, Hindi, Poems by Anirudh
सीखने की ज़िद मे तो बस सीखते ही रह गए
सीखना भी कभी सीख पायेंगे क्या

जो नहीं है वही दिखाई देता है बस

उसे दिखला भी दें पर दिखलायेंगे क्या

घर हमारा गर्द में और कहकशां पर नूर है

न जलायें जो दिल तो जलायेंगे क्या

ख्वाब है या सच है या फिर ख्वाब का ही इल्म

है
खुलेंगी आंखे तो कह पायेंगे क्या
बेकरारी में “लल्लन” खुद से पूछा है बार बार
वो पूछेंगे क्या और हम बतलायेंगे क्या
April 7th, 2007

वो दोनो

Posted in Anirudh, Hindi, Poems by Anirudh

एक वो है कि रोते हुए थकता ही नही
और एक ये है कि बस उसे रोता देखे जाए है

तगाफ़ुल की ओट में छुपते नही आंसू
गीला मुखौटा सूखने में देर लगाए है

More

March 5th, 2007

shair (urdu)

Posted in Hindi, Sheikha by Sheikha

Waqt dhoka de gaya mujhe lekin
Tumhari yaadein abhi baaki hai
Kitni jaldi doobta hai suraj aur raat
Doob jaati hai apne hi andhere mein.

–Sheikha.

December 28th, 2006

Aaj Bhi

Posted in Hindi, Love, Neha Jhingon, Poems by Neha

My first attempt at Hindi Poetry…

Dabdabaayee Si Ankhon Mein Aaj Bhi Tairta Hai Chehra Unhi Ka
Ashkon Mein Aaj Bhi Kabhi Ruth te Kabhi Muskurate Hain Woh
More

November 15th, 2006

Posted in Hindi, Sheikha, Thoughts by Sheikha

Durr lagta hai tumharey har vaade se, 

Tanha hi nazar ayi khud ko hamesha se, 

Har waqt jo palat kar dekhna chaha tumhe, 

Jab bhi kehte jaane se pehle mujhse ke 

Aankhein jhapakte mein wapis ajaunga, lekin 

Ek sadi beet gayi hoti thi tumharey lautne par.

-Sheikha

November 11th, 2006

Posted in Hindi, Sheikha by Sheikha

Mujhe yaad hai woh lamha jaagti subah ka, 

Aur mere nazron ke saamne ka dhuwaan, 

Kya woh badalte mausam ka ittefaq tha?

Ya aasman par rangon ka koi khel tha?

-Sheikha.

November 7th, 2006

untitled

Posted in Hindi, Sheikha by Sheikha

Well, I didn’t quite know the Hindi category existed here…since I’ve discovered it, I thought I may post in my amateur attempt at shairi

I’ve written a few, like beginners work, but my command over the Urdu language isn’t strong enough to write Ghalib style…

Bear with it, if you don’t like it…

Is veerane dasht mein kho kar paya kisi ne kuch nahi

Aaye the toofan dhundne jalti huwi ret mein

Lekin kisi mein woh baat na thi tum jaisi

Ek tumhi the jiske bharose mein bhikr tou sakti.

I admit I am hesitant…

 -Sheikha. 

August 21st, 2006

Tujhse Naraaz Nahin Zindagi

Posted in Hindi, Neha Jhingon, Thoughts by Neha

“Jeene Ke Liye Socha Hi Nahin,

 Dard Sambhalne Honge”

- Gulzar

And then… Reality continues to Ruin my Life.

- Neha

August 5th, 2006

Hindi Poem: Tum the ruke hue

Posted in Hindi, Poems by Kunal Goel

tum the ruke hue to chuppi thi
hum chalte to gufta-gu hoti
tumse thi kuch bhi naa thi
humse hoti to yun hoti
More

August 3rd, 2006

Jag Ja…

Posted in Hindi, Songs by Ishan Dubey

jag ja ri gudiya
misri ki pudiya
meethe lage do naina
nainon mein tere, hum hi base the
hum hi base hain, hain na.

o ri raani, gudiyaaaa,
jag jaa, arii jag ja, mari jag ja.

halka sa kosa,
subho ka bosa,
maan jaa ri, ab jaag ja.
naak pe tere, kaatega bicchoo
jaag ja, tu maan ja
jo chahe le lo, dashrath ka vaada
nainon More

July 25th, 2006

Stopping By Woods on a Snowy Evening (In Hindi)

Posted in Hindi by Kunal Goel

Gahan saghan manmohak wun taru mujhko aaj bulate hain,
kintu kiye jo wayde maine yaad mujhe woh aate hain,
abhi kahan aaram bada yeh mook nimantran chalna hai,
arre abhi to meelon mujhko, meelon mujhko chalna hain!

-Harivansh Rai Bachchan