May 10th, 2008
A few shairs [urdu]
Kaash meri zindagi mein tum aaye na hote,
Aankhon mein itne khuwab sajaaye na hote,
Itna dard jo mujhe tum de kar chale gaye,
Koi aya na hota tou yeh zulm dhaya na hota,
Kaash meri tanhai mujhse roothe na hote.
–Sheikha.
Waqt dhoka de gaya mujhe lekin
Tumhari yaadein abhi baaki hai
Kitni jaldi doobta hai suraj aur raat
Doob jaati hai apne hi andhere mein.
–Sheikha.
Isi andhere ujaale mein baatein ki tumse,
Jab parchai lagta tha tumhara paas hona.
–Sheikha.
Ilzaam doun bhi agar tou kis ko doun,
Meri taraf nazar kabhi huwi nahi tumhari,
Jalte hai hum khoobsurti se itna kyun,
Mujh par nazrein tiki nahi tumhari kabhi.
–Sheikha.
Ijaazat ho agar thori der aur ruk jaayun
Saari umar nikl gayi ab saansein baaki hai
–Sheikha.
Kunal Goel says:
i really like this one:
Isi andhere ujaale mein baatein ki tumse,
Jab parchai lagta tha tumhara paas hona.
May 11th, 2008 at 12:06 am
Ishan Dubey says:
Waah! waah!
May 13th, 2008 at 03:35 pm